kavita by my flat mate...

sudip farts a lot...... this i knew long back..... and gives lots and lots of gyan.......
but kavita??? oh my god...
 
anyways.. posting it on the web....
 
 
Mai jab khud se mila..

Ek subah ghar se chala samandar se baatein karne ko
Duniya kitni aage nikal chuki hai ye samajhne ko
Zindagi ki aapadhapi me khud ko hi bhool gaya hoon
Arson baad Waqt nikala tha us roz khud se milne ko.

Apne saath aakhiri baar kab baitha tha ye yaad nahi
kya khud ko pehchan paoonga bhay tha is baat ka bhi
Khair himmat ki aage badha, khud ki teraf haath badhaya
Ek awaz suni ye meri tenhai me khalal dene kaun aaya.

Maine kaha mai apni kuchh uljhane door karne aaya hoon
Zindagi se kya chahta mai kuchh sawal karne aaya hoon
Kab se chal raha hoon ab to waqt ka bhi andaza nahi
Thak chuka hoon bhut thoda aaram karne aaya hoon.

Phir wohi awaz suni main to hamesha tere saath hi tha
Tum hi mashruf the bahut mujhe to tera intezaar tha
kuchh waqt hai tumare paas ki kuchh waqt nikal pao
Jaruri ye ki baate kare ham thodi der duniya bhool jao.

Mai baith gaya geeli ret pe saamne khud bhi baitha tha
Sab kuchh bhool gaya tha mai mahaul hi kuchh aisa tha
Khud ne kaha chalna jeevan ka naam hai bas chalte raho
Par kya ilm hai apni manzil ka aakhir kahan ja rahe ho?

Meri manzil aur mera thikana to logon ne mukarrar kiya hai
Raaste banaye duniya ne jin pe maine bas safar kiya hai
Khud ki baat suni hai kab, sun ke bhi kabhi samja nahi
Jo chahta tha wo kar paoonga aisa raha kabhi hausla nahi.

Der se hi sahi par baat samajh me aa gayi
Meri zindagi bas meri hai kisi aur ki nahi
Kyon sunu kisi aur ki baat khud ka kaha sunun
Khud ne jo bataya ab usi raaste pe chalun.

Ho sakta hai shuru me thoda bhatakna pade
Par khushi hogi ki mai chala wo raah jo khud ne chuni
Haan haan wo raah jo maine khud chuni.
 
courtsey
Sudip Charan Dwary
aapun ka flat mate


No comments:

Da Lat & Nha Trang

Once we left Saigon / HCMC, we headed to Da Lat, one of the colder cities of Vietnam. The plan was to go to Da Lat and Nha Trang, and then c...